Friday, August 5, 2011

"YaadaiN"

Hava ke dosh pe uRtee uRtee
Yeh kaisee yaadaiN sataa rahee haiN.

Voh kitney beetay dinoN kee yaadaiN
Voh bachpanay kay dinoN kee baataiN.

Voh din jo maa'soomiat maiN guzray,
Kisee bhee JHanjat binaa jo beetay.

Voh apnee CHHotee see piyari dunya,
THa jis maiN koi na GHam na faqa.

THay kitnay sustay shuGHal voh apnay,
Na koi lumhay muqarrar un kay.

Jo jee maiN aya to ho lieay KHUsh,
Na suBHa kee qaid, na shaam ka hosh.

KaBHee deevaroN pe CHaRRh ke baiTHay,
KaBHee daraKHtoN maiN CHHup ke KHalay.

Voh garmeoN kee jalee dopehraiN,
Voh serdeoN kee haseen shamaiN.

Voh GHoNsloN maiN reKHay 'undoN' ko,
UTHa ke hathoN maiN GHaur kerna.

BaRee muhabbat se PHir vaheeN pe,
UnHay jama ke vo laut anaa.

Voh titleoN ko pakeR pakeR ke,
Azad Phir se hava maiN kerna.

GHanay daraKHtoN ke saey maiN voh,
Kitab lay ke mudhosh hona.

KahaaN voh lumhay gaey suhaanay,
Voh jo THay merey giraN  KHazanay.

Hui haiN yaadaiN meree sahailee,
Yeh umr-e-rafta kee haiN pahelee.

KaBHee jo dil ho udaas mera,
KaBHee jo GHao ho jaaN pe gehra.

Yeh yaadaiN mera haiN dil LuBHatee
Meree nazar se guzartee jatee.

Ye rooh perver puraanee yaadaiN,
Gaey dinoN kee suhaanee yadaiN.

No comments:

Post a Comment