Yeh merey dil ke ghanay undharey,
Koi na dekhey, koi na samjhay.
Ke ansuon ko chupa ke is main,
Hansee saja lee hai mounh pe main ne.
Shikaetain hain, bohot hain shikvay,
Magar main chahoon to phir bhee in ko,
Zuban pe laaon, kahaan hai mumkin;
Dikhaaon main apnay dil ke ghao, kahaan hai mumkin.
Labon pe raqsaan yeh muskarahut,
Kabhee jo dil tuk pohonch na paey,
In aankhon main gham ke lambay saey,
Tarap na is dil se jinki jaey.
Yeh dil jo barson se jal raha hai,
Ke jaisey geeli sulagtee lakree.
Na ja-e-mandan na pa-e-raftan.
Ke jaisay ho bud dua kisee ki.
Bohot hai socha bohot hai chaha
Ke khainch doon ik lakeer darmian.
In doorion ko, in faaslon ko,
Bil akhir main bhee koi naam de doon.
Tamam hudain guzar chukeen ub,
Ub aik yeh hud bhee par ker doon;
Magar hain paaon main ub bhee bandhan,
Abhee bohot imtihan hain baaqi.
Na janey kitnay baras tuk ub bhee,
Jigar ka khoon yoon he hota rahay ga.
Yeh dil kee lakree yoon he jalay gi,
Chiragh dil ka bujha rahay ga.
Na janey kub tuk????????
Koi na dekhey, koi na samjhay.
Ke ansuon ko chupa ke is main,
Hansee saja lee hai mounh pe main ne.
Shikaetain hain, bohot hain shikvay,
Magar main chahoon to phir bhee in ko,
Zuban pe laaon, kahaan hai mumkin;
Dikhaaon main apnay dil ke ghao, kahaan hai mumkin.
Labon pe raqsaan yeh muskarahut,
Kabhee jo dil tuk pohonch na paey,
In aankhon main gham ke lambay saey,
Tarap na is dil se jinki jaey.
Yeh dil jo barson se jal raha hai,
Ke jaisey geeli sulagtee lakree.
Na ja-e-mandan na pa-e-raftan.
Ke jaisay ho bud dua kisee ki.
Bohot hai socha bohot hai chaha
Ke khainch doon ik lakeer darmian.
In doorion ko, in faaslon ko,
Bil akhir main bhee koi naam de doon.
Tamam hudain guzar chukeen ub,
Ub aik yeh hud bhee par ker doon;
Magar hain paaon main ub bhee bandhan,
Abhee bohot imtihan hain baaqi.
Na janey kitnay baras tuk ub bhee,
Jigar ka khoon yoon he hota rahay ga.
Yeh dil kee lakree yoon he jalay gi,
Chiragh dil ka bujha rahay ga.
Na janey kub tuk????????
very nice
ReplyDelete