Thursday, September 15, 2011

Jehed-e-Musalsil

Vohee havaa hai, vohee chaman hai,
Vohee sitaaray falak pe raqsaaN.

Vohee fizaaoN maiN KHushbuaiN haiN,
Vohee zameeN hai jo ser b girdaaN.

Hai hasratooN ka paimana lebraiz,
HazaroN dil maiN posheeda toofaaN.

Kee laaKH koshish-e-zabt laikin,
Hain PHir BHee motee b nok-e-miZHgaaN.

Hua yeh asr us kee bay ruKHee ka,
Keh BHoolay rehguzar-e-shehr-e-janaaN.

Vohee nigaahoN maiN ashk paihum,
Vohee dareeda-o- chaak giraibaaN.

Agar hai Kaa'ba nazar maiN to kia,
Jo paak dil na ho tera az butaaN.

ABHee to manzil maiN dooriaN haiN,
Bohot musaafat aBHee hai dermiaN.

Talatum-e-ishq-o-KHirud musalsil,
Hai jis pay inhisaar-e-kaar-e-insaaN.

Hai Chaltay rehnay maiN kamyaabee,
Rahay jo paivasta-e-kaarvaaN.

Usay pukaaraiN to kia pukaaraiN,
Keh saamnay hai magar hai pinhaaN.

Yeh apnee bay daanishee kee hud hai,
Keh jis ko doost samJHa, THa dushman-e-jaaN.