1.
Gaisooey tabdar ko, aur bhee tabdar ker,
Hosh- o- khirad shikaar ker, qalb- o- nazar shikaar ker.
2.
Na uthha phir koi Rumi ajam kay lala zaaron se,
Vohee aab o gil e Iraan, vohee Tabrez hai saaqi.
Nahee hai na ummeed Iqbal apni kisht e veeraan se
Zara num ho to yeh mattee barri zerkhaiz hai saaqi.
3.
Laa PHir ik baar vohee baada o jaam aiy saaqi,
Haath aa jaey muJHey mera muqaam aiy saaqi.
ISHq kee teGH e jigardaar uRRa lee kis nay
Ilm ke haTH maiN KHali hai nayaam aiy saaqi.
4.
TuJHey yaad kia nahee hai, merey dil ka voh zamana
Voh adabgahey muhabbat, voh nigeh ka taziana.
NaheeN is KHulee fiza maiN, koi goSHa e faraGHat
Yeh jahaN ajab jahaN hai, na qafas na aaSHiana.
Merey KHak o KHoon se too ne yeh jahaN kia hai paida
Sila e SHaheed kia hai, tub o taab e javidaana.
Teree bunda pervaree se merey din guzar rahay haiN
Na gila hai dostooN se na SHikayet e zamana.
5.
Apni jaulaN gah zair- e- aasmaN samJHa THa maiN
Aab- o- gill ke KHel ko apna jahaaN samJHa THa maiN
Bay hijaabee se tiri toota nigahoN ka talism
Ik ridaa-e- neelgooN ko aasmaN samJHa THa maiN
KaarvaN THuk ker fizaa ke paich- o- KHum maiN reh gaeya
Mehr- o- mah- o- muSHtaree ko hum anaaN samJHa THa maiN
ISHq kee ik just nay taey ker diya qissa tamaam
Is zameen o asmaaN ko bay karaaN samJHa THa maiN
Keh gaeeN raaz e muhabbat perda darihaey SHauq
THee fuGHaN voh BHee jisay zabt e fuGHaN samJHa THa maiN.
6.
Tu abhee rehguzar main hai, qaid- e- maqaam se guzar
Misr- o- Hijaz se guzar, Paaras- o- Shaam se guzar.
Jis ka amal hai bay gharaz, us kee jaza kucchh aur hai
Hoor- o- khiyam se guzar, bada- o- jaam se guzar.
Tera imaam bay huzoor, teree namaz bay suroor
Aisee namaz se guzar, aisay imaam se guzar!
7.
Phir chiragh- e- lala se raushan huay koh- o- daman
Mujjh ko phir naghmon pe uksaanay laga murgh- e- chaman
Husn- e- bay pervah ko apnee bay naqabee ke liey
Hon agar shehron se bun piyaray to shehr acchhay ke bun
Apnay mun main doob ker pa ja suraagh- e- zindagee
Tu agar mera nahin buntaa na bun apna to bun.
Mun kee duniya! Mun kee duniya soz o mustee jazb o shauq
Tun kee duniya! Tun kee duniya sood o sauda makr o fun
Mun kee daulat haath aatee hai to phir jaatee naheen
Tun kee daulat cchhaon hai, aata dhun jaata hai dhun.
Mun kee duniya main na paya main ne afrangee ka raaj
Mun kee duniya main na dekhay hum ne shaikh o berhaman
Paani paani ker gayee mujh ko qalander kee yeh baat
Tu jhuka jub ghair kay aagay, na mun tera na tun.
8.
Ummeed e hoor ne sub kucchh sikha rekhha hai vaaez ko,
Yeh hazrat dekhnay main seedhay saaday bholay bhalay hain!
9.
Aalam hai GHulam us ke jala-e-azalee ka,
Ik dil hai ke her lehza ulaJHta hai KHirad se.
10.
Tiray azaad bundoN kee, na yeh duniya na voh duniya,
YahaaN mernay kee pabundee, vahaaN jeenay kee pabundee.
11.
KHiradmandoN se kia pooCHHooN,
Ke meri ibtidaa kia hai,
Ke maiN is fikr maiN rehta hooN,
Ke meri intihaa kia hai.
12.
Aalam-e-aab-o-KHak maiN
Terey zahoor se firoGH,
Zarra-e-reg ko diya
Too ne tuloo-e-aftaab.
Shauq agar tera na ho
Meri namaaz ka imaam,
Mera qiyam BHee hijaab
Mera sujood BHee hijaab.
13.
Nahee tera nashaiman qasr-e-sultani ke gumbed per,
Tu shaheeN hai basaira ker pahaaRoN kee chttaanoN per.
14.
Nazar nahee to merey halqa-e-suKHan maiN na baiTHH,
Ke nukta haaey KHudee haiN misaal-e-taiGH-e-aseel.
Ghareeb-o-sada-o-rangeeN hai dastaan-e-haram,
Nihayet is ki Hussain, ibtida hai Ismael.
15.
KHo na ja is sehr-o-shaam maiN aiy sahib-e-hosh,
Ik jahaaN aur BHee hai jis maiN na farda hai na doosh.
16.
KHudee ke saaz maiN hai umr-e-javedaaN ka suraGH,
KHudee ke soz se raushan haiN ummatoN ke chiraGH.
Hui na zaaGH maiN paida buland pervazi
KHarab ker gaee shaheeN baCHay ko suhbat-e-zaaGH.
17.
Na ker zikr-e-firaq-o-ashnaee,
Ke asl-e-zindagee hai KHud numaee.
Na duniya ka ziaN hai, naey guhar ka,
Dil-e-darya se gohar kee judaee.
18.
Haqeeqat KHurafat maiN KHo gaee,
Yeh ummat rivayat maiN KHo gaee.
BuJHee ishq kee aag, anDHair hai
MussalmaN nahee raaKH ka DHer hai.
TaRapnay PHaRaknay kee taufeeq day,
Di-e-Murtaza, Soz-e-Sideeq day!!
19.
SitaaroN se aagay jahaaN aur Bhee haiN
ABHee ishq ke imtihaaN aur BHee haiN
Qana'at na ker aalam-e-rung-o-boo per,
CHaman aur BHee ashiyaaN aur BHee haiN.
Tu shaheeN hai pervaaz hai kaam tera,
Tiray saamnay asmaaN aur BHee haiN.
Isi roz-o-shub maiN ulaJH ke na reh ja
Ke teray zaman-o-makaaN aur BHee haiN.
20.
YooN to Sayyed BHee ho, mirza BHee ho AfGHaan BHee ho,
Tum saBHee kuCHH ho batao Mussalmaan BHee ho?