Wednesday, July 27, 2011

Nai Nasl Ke JavaanoN Ke Naam

Tiray darya maiN tuGHyani nahee hai,
Ke soCHoN maiN aBHee ravanee nahee hai.

TuJHay CHalna hai manzil hai bohot door,
Teray restay maiN aasanee nahee hai.

Raqam kernee hai tuJH ko ik nayee dastaaN
Nazar aatee hai jo, teree kahaanee nahee hai.

Teree lehraiN karaiN baataiN falak se,
Ke too THehraa hua paanee nahee hai.

THeherta hee nahee pal BHar ko BHee pal,
Guzar gayee jo GHaree laut ke aanee nahee hai.

Kamar ko baaNDH lay, uTHH ja, zamaanay maiN nikal,
THeher jaeygee, aisee chees javanee nahee hai.

MaiN hairaaN hooN ke ub tuk too ne dil maiN,
Apnee taqdeer badalnay kee THanee nahee hai.

KaraiN hum shoomi-e-qismat ka chercha her GHaRee,
Yeh sheva hai hamaraa, hukm-e-Rabbanee nahee hai.

JahaaN tuk soch pohonchay, teree dunya vaheeN hai,
Ke sochooN ka jahaaN faanee nahee hai.

Zamaanay ne banaya chaaNd ko GHar,
Jo sumJHay too, to kia teree ravish puraanee nahee hai?

Guzar to jaeygee bekaar baiTHHay BHee,
Magar yeh maqsad-e-zindagaanee nahee hai.

TuJHay baRhnaa hai aagay, aur aagay,
Muqarrar din yahaaN haiN, hayat-e-jaavedaanee nahee hai.

NaviSHta-e-dar-o-deevaar peRHH lay,
Ke yeh tehreer pinhaanee nahee hai.

CHuraya jee agar tu ne husool-e-ilm se,
To tu laaiq-e-sultaanee nahee hai.

SamBHal ja, aik ho ja, bun ke uTHH too aik ummat,
Vagarna maut teree marg-e-nagihaanee nahee hai.

No comments:

Post a Comment