Tuesday, July 26, 2011

"Sabr"

Kitna asaan hai kehna ke haaN ker lo sabar,
KHoon ke GHoont pieyo, rooh pe reKH lo paTHer.

AanKH ho jaey lahoo, KHaak ho jaey jigar,
Rait ke zarroN kee tarah, toot ke sub jaey biKHar.

Dil pe JHelay CHalay jana, siskiyaaN dil maiN hee reKHna
Lub pe lana na shikayet, kaheeN ho jaey na kufr,

Rooh per laaKH lagaiN zaKHm, uski pervah nahee kerna,
Raasta aur nahee, yuNhee CHaltay CHalay rehna.

Aaeina-e-dil jo hua, kirCHi kirCHi kia hua,
DuKH uTHanay ke lieay, dil pe sehnay ke lieay,
Paida insaaN ko kia.

LiKH diya 'Lauh' maiN sub, aur kaha iKHtiyar diya,
Aik dil toota hua, raasta pur KHaar diya.

Jism-e-faani maiN hai dil, aur us maiN hai rooh posheeda,
ZaKHmoN se CHoor hai jo, her taraf se hai dareeda.

KuCHH BHee iKHtiyar nahee,
 Hum se sarokar nahee.

Aa gaey is lieay hum zinda haiN,
Zindagee aisee ke sharminda haiN.

KHushee se apnee na hum aaey yahaaN,
Aur na merzee se siDHaraiN gay vahaaN.

Jub bulaey ga hamaiN
CHHoR daiN gay yeh jahaaN.

No comments:

Post a Comment