Tuesday, July 5, 2011

My Favourite Verses

INSCRIPTION ON THE TOMB OF MALIKA NUR JEHAN IN LAHORE

Ber mazar-e-ma ghariban,
Nai chiraghe nai gule.
Nai perey pervana soozad,
Nai sada-e-bulbule

BAHADUR SHAH ZAFAR

1.
Lagta nahin hai ji mera
Ujrey deyar main.
Kis ki bani hai alam e
Na payedar main.

In husraton se keh do
Kahin aur ja basain.
Itni jagah kahan hai
Dil e daghdar main.

Umar e daraz maang ke
Laey they chaar din.
Do aarzoo main kut gaey
Do intizaar main.

Kitna hai bud naseeb Zafar
Dafn ke liey
Do guz zameen bhe na milli
Kuey yaar main.


MIR

1.
Nazuki un ke lub ki kia keheyay,
Punkhari ik gulab ki si hai.

Mir in neem baz aankhon main,
Sari musti sharab ki si hai.


MIRZA ASADULLAH KHAN GHAALIB

1.
Dil he to hai, na sang o KHisht,
Dard se BHar na aaey kyoN?
RoeNgay hum hazaar bar
Koi hamaiN sataey kyoN?

Qaid e hayat o band e GHam
Asl maiN dono aik haiN
Maut se pehlay aadmi
GHam se nijaat paey kyoN?

HaaN vo nahiN KHuda parast
Jao vo be vafa sahee
Jis ko ho deen o dil azeez
Us ki gali maiN jaey kyoN?

GHalib e KHasta ke baGHair
Kaun se kaam bund haiN?
Roiye zaar zaar kia
Keejiye haay haay kyoN?


2.

Aa ke meree jaan ko qaraar nahiN hai,
Taaqat e bedaad e intizaar nahiN hai.

3.

Dard minnat kash e dava na hua
MaiN na aCHa hua bura na hua.

Hai KHabar garm un ke aaney kee
Aaj hee GHar maiN boriya na hua.

Jaan dee, dee hui usee kee THee
Haq to yeh hai ke haq ada na hua.

KuCHH to paRHeay ke log kehtey haiN
Aaj GHalib Ghazal sara na hua.


4.

Koi ummeed ber nahiN aati
Koi soorat nazar nahiN aati

Maut ka aik din muqarrar hai
NeeNd keuN raat bhar nahiN aati

Aagay aati thi haal e dil pay haNsi
Ub kisi baat par nahiN aati

Hum vahaN haiN jahaN se hum ko BHee
KuCCHH hamari KHabar nahiN aati

Kaaba kis mouNH se jao gay GHalib
Sharm tum ko magar nahiN aati





 

2 comments:

  1. Very nice Fawzia Sahiba. That's a pretty gud collection in one place..
    Kaifi Rasul
    kaifi.xperia@gmail.com

    ReplyDelete